Monday, September 21, 2009

Tumhare liye...



Pyar itna naa karo ke hum khud main kho jayen..
Dil main koi kasish liye kahin goom ho jayen…

Kisise hamen koi dar nahin…
Pyar main hum kisise kam nahin..

Loot jayen khud to koi gum hota
Loota rahe hain khud ko ye sayad hamen kam he pataa…

Khusian mile sab tumko ye iss dil ki hai tamanna..
Gum se koi dar nahin jitna bhi mile,
Uph naa karenge ye wada hai,
Chahe puche ya na dekhe ye jamanaa

Meri Pyari si Bodi didi...



Meri Pyari si Badi didi...
__________________________

Hamesa Badi badi baat karti he..
me choti hu ..isiliye Mere upor apne rog Jamati he

Maa ke sath Dosti karke mujhe hamesa NASIHAT deti he
Jhagda karti he par Dant mujhe hi podti hi

Badi Didi log baaht Saitan Hoti he
unke sakal me mat jai Kyon ke Wo andar se bahat najuk hoti he.. :)


Hamesa chote keliye hin sochti he..
khud apna icha marke apne choto ki jarurat puri karti he

Najuk si Kalli ki tarha hotia he Bodi didiaaa...
bahar se saqt andar se bahat naram dil ki hoti hain Ye pyari si Gudia....

Kuch baat mere Sajan ka..




pyar se pyare he mere Sajan
jinki ankho me rahete hain Hum Hardum

unki pyari si muskurahat kafi he Ache din ki Suruwat keliye
Chand sa chehera khila rahetahe hamesa mereliye

Itne Pyare hain.haye najar na Logjayi meri...
Hamesa khus raho mere piya..ye dua hamesa karti hu me Teri



Kabhi Apni Jindegi se itna Pyar tha ke ,
Har Din me ek Nayi Ummid ki Gujarish karte the,,
Abhi jindegi se itne khoffa hogaye hain ke,
Har Raat subhe Na ane Ki Farmaisi Karte hain....

Jindegi se kya Sikayat Kare..apni jinge hi
mujhe har mod pe ek Mom ki gudia bona dia he

itne bigol gaye hain aansu ki Garmi pe
aj kal apne ap ko pehechane me bhi Muskikl ho podi he...

Monday, September 14, 2009

Akhri Intejar ..

Jane kitne sal khofa ho kar chali gayi he meri sari ummide

Dekar toffa buddhape ki nayi manjil me kadam rakhneko
Sanse bhi ajkal paresan karti he hurpal mere ruh ko

Kahin dur se jaise koi bula raha he mujhe..
Jishko me dekh Nahi parahi hu...Par awaj gunz rahi me meri kano ko

Dil ka dhodkna jaise dheeme si horahi he
Dekhne ki koshish karrahi hi khode hue sabhi apno ko

Sabke ankho me ansu dekhke machal rara he mann
Mere apne hi to he jinnme me hamesa dekhti hun khudko

Bolna chahati hu par juban me baat nahi aapati..
Mere Bacho ke Ansu ,mere dil me jaise tufan si he le atii

Dil me jaise dard ke badal ghere hain
Aansu beherahi he barish ki tarah mere ankho se

Jane kitne sal bit gaye jindgei ki rail gadi me
Abhi to jana he ush par mere akhri manjil me...

Friday, September 11, 2009

Kuch pal Apne MaaBaba aur apne Gaon ke naam.....

kitna khubsurat he ye mera pyara gaon..chota he par kitna sacha he
subhe subhe se panchio ki pyara sa awaj Uthadeti hi sabko ...
thandi hawa leati he phulo ki khusboo ko

khet me chala jata he kisan suraj ke ugne se pehele
ghar me dia jalati he bohu betia puja karke...

sam hoti to mandir me puja hoti he
ghanti ki gunj charo taraf sunai deti he
maa Tulsi puja karke ati he
sab bache khel ke ghar aakar podhne beth hain

chota mere gaon me rehete hain bahoto ke baba maa
kitne sare sapne lekar apne liye apne damon me
Bura lagta he hamesa yehi jankar..
kyon bhuljate hain sab bidesh jakar
Apne pita mata ki asa ko karte hain to pura
par unko hi apne se dur karke kahi pardesh me kar dete hain basera

Mera Ek hi he gujarish mere sabhi bhai beheno ko
kabhi samay nikalke thodi der choli jao apne atit ko

yaad karo tumhari wo pyara gaon
jaha pe Tum ne apna chalna sikha apne maababa ki ungali pokad kar

abhi bhi der nahi hui he...
jagjao insan..jo tum ko bode kiye hain ..
kuch samay apni karlo unke naam............

Unki tariff

kya kahu me unke bare me jo dil me hote hain harpal
mere sapne me ate hain hamesha jo meri sanso me rehete hain pal pal
khuda bhi dang reh jata hai jab jab mere meheboob ko dekhta hai
khushkismat hain hum jinke nasib me itna sona sa sathi dil me rehta hain

Thursday, September 10, 2009

pyar ki kadar



Kisi ke pyar ki kadar na karke kya milega
Jo tumko jaan se jyada chahe uss ko dantne se kya milega
Kismat walo ko milti hai sachchi chahat
bar bar usko thukrane se tumko kya milega
Abhi to tumhare pas mehenat ki sidi hai
tum asman ki bulandi pe jaoge
kisiko najar andaj karke......
wo kamiyabi se tumhe kya milega
Chhoti si hai jindegi..na bhorosa iska jaldi se thamlo uska hath
Nahi to sari umar uski soch me tumko tumhari jindagi bitana padega

Jhooki palke

Jhooki jhooki palke dhundti hain kisi ajnabi ko
Sehami sehami si dil me tarange uth jati hain soch ke usko
Har aahat me lagta hai ke ayegi uske pairo ki awaaz
Soch me pod jati hu kaisa hoga wo mera Rajkumar Diya
Jalati hu mandir me uske naam ka
Kehte hain mujhe sab pagal bethi hu kisi ajnabi ke khwab me
Dil kehta hai ke TUM aaoge bahut jaldi mere jeevan me
Dil ka rishta hi hai itna pyara
Hum dono bandh jayenge is nazuk se bandhan me.............. :) :) :)

Chhoti si tammana

chhoti si tammana dil me jagi hai chahat hai ke banau ek pyara sa aasman
jin me rakh du sare chand aur tare aur usko simmat ke dedu meri nanhi si beti ko uske tale khilegi meri nanhi kali jaha na hoga koi fareb na hogi paap ki Gali
chotii si tamanna dil me jagi hai chahat he sajalu Dharti Maa ko haryali me khilkhilayega sara jahan in hashin wadiyon me
Panchi aasman me udenge nirbhaye hokar
thandi hawa mehekegi phulo ki khusboo lekar
Chotti si tammana hamesha mann me aati hai
Bhagwan apko kya meri Tammanna Bhati hai
Kripa kardo hamare upar ..
Dukh Sukh ki Ghadi me sath do hamara
Hamesha raho hamare paas Kabhi bhi humse na ho jana Naraj.....

chote chote pal

Chote Chote pal me hi khiluthta he jindegi
ane wale pal me na dekho jindegi ki khusi
hum he ish pal yaha to ish pal ko simatlo
chote choti khushia me apni jindegi ko sawarlo....

Najane kal kya hoga kissiko bhi nahi he pota
kal keliye soch soch ke kyn kare koi khata
makhmalli jindegi ko jilete he kuch pal
phir kya ho kya khabar dekha he kisne kal

Live Life..

In Our Life ,we face many difficulties.We used to cry,we used to laugh..
Life is beautiful..so lets live each moment of it.